Wednesday, November 18, 2009
LOVE
Zindagi ki kitab k kuch panne hote hain,
Kuch apne, Kuch begane hote hain,
Pyar se sanwar jati hai zindagi,
Bas Pyar se rishte nibhane hote hain.
Khiayalo ko kisi aahat ki aas rehti hai
Nigaahon ko teri talaash rehti hai.
Tere bina koi kami nahi lekin
Tere baghair tabiyat udaas rehti hai.
Khushi se dil ko aabad karna…
Aur gham ko dil se azad karna,
Hamari bus itni guzarish hai k humain bhi
Din mai ek baar YAAD karna…
Koi mera bhi to ho saath nibahane ke liye,
Mujhe mange khuda se apne banane ke liye,
Mere aanso meri palkon se churane ke liye,
Bas wohi ho mujhe seene se lagane ke liye.
Dar hai mujhe kahi kho na jaun main ke mujhe apni bahoon me aane de,
Mila de meri jaan ko mujse jo raste mujhe un rahoon mein aane de,
Bardash nahi hota ae sanam mujhse yeh doori ka ghum,
Chand lamho ke khushi ke liye hi sahi par mujhe apni bahon mein aane de.
Judai ke bandi khane mein
Bas ab tu jine ka aik hi silsila hai jana!
Tumhari sochon mein dube rehna
Tumhare khwabon mein khoye rehna
Kisi terha tum ko dekhne ki sebeel karna
Tumhare kooche tak ane ka
koi bahana karna.
Har aate jate se khriyat ki naveed lena
Hawaon aur chand aur
Parindon pe rashk karna.
Mera ji ahwaal poochna hai
Tu yeh hai jana!
Ke jane kab se….
Judai ke bandi khane mein
Baraf ki seel pe tanha
Hararat-e-zindagi se kuch
Rabbt dhoondti hoon
Badan ko apne..
Tumhare hatoon se chuo rahi hoon!
Woh mil jatey hain kahani bankar
Dil mein bas jatey hain nishani bankar
Jinhe hum rakhte hain apni aakhon main
Kyun nikal jatey hain woh pani bankar!!
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment